jo shaKHs sarbuland tha meri nigah mein
jo shaḳhs sarbuland thā merī nigāh meñ
dekhā to hai khaḌā vo saf-e-rū-siyāh meñ
rangīn kā.enāt-o-dil-o-jāñ kī chaah meñ
ham kar rahe haiñ roz izāfa gunāh meñ
sab kuchh luTā ke us kī hifāzat kiyā karo
jo shaḳhs aa gayā ho tumhārī panāh meñ
bahrūpiyoñ kī fauj bharī hai galī galī
ḳhādim dar-asl diin ke haiñ ḳhānqāh meñ
mā'sūm bastiyoñ ko jalāne se roktā
vo mard-e-haq-shanās kahāñ thā sipāh meñ
hargiz kisī ġharīb pe zulm-o-sitam na kar
tāsīr be-panāh hai muflis kī aah meñ
mere ḳhilāf zahr ugaltā thā is liye
sach bolne kī taab nahīñ thī gavāh meñ
lete raho 'azīz-o-aqārib kā jā.eza
'betāb' luT na jaao kahīñ rasm-o-rāh meñ
jo shaKHs sarbuland tha meri nigah mein
dekha to hai khaDa wo saf-e-ru-siyah mein
rangin kaenat-o-dil-o-jaan ki chah mein
hum kar rahe hain roz izafa gunah mein
sab kuchh luTa ke us ki hifazat kiya karo
jo shaKHs aa gaya ho tumhaari panah mein
bahrupiyon ki fauj bhari hai gali gali
KHadim dar-asl din ke hain KHanqah mein
ma'sum bastiyon ko jalane se rokta
wo mard-e-haq-shanas kahan tha sipah mein
hargiz kisi gharib pe zulm-o-sitam na kar
tasir be-panah hai muflis ki aah mein
mere KHilaf zahr ugalta tha is liye
sach bolne ki tab nahin thi gawah mein
lete raho 'aziz-o-aqarib ka jaeza
'betab' luT na jao kahin rasm-o-rah mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.