jo shaKHs tere mere darmiyan Therta hai
jo shaḳhs tere mire darmiyān Thertā hai
usī ke sar pe tirā āsmān Thertā hai
tabāh kar ke jo jiinā sikhā gayā mujh ko
vo ek shaḳhs mirā mehrbān Thertā hai
jahāñ pe roz na.ī hairateñ utartī hoñ
us ek dil meñ kahāñ itminān Thertā hai
kabhī jo bāteñ mirī be-takān suntā thā
ab us ko harf mirā dāstān Thertā hai
talāsh rahtī hai us ko na.e Thikānoñ kī
hamāre dil meñ kahāñ mehrbān Thertā hai
mohabbatoñ ke zamāne vo kyā hue āḳhir
ki kār-e-ḳhair bhī ab imtihān Thertā hai
jo shaKHs tere mere darmiyan Therta hai
usi ke sar pe tera aasman Therta hai
tabah kar ke jo jina sikha gaya mujh ko
wo ek shaKHs mera mehrban Therta hai
jahan pe roz nai hairaten utarti hon
us ek dil mein kahan itminan Therta hai
kabhi jo baaten meri be-takan sunta tha
ab us ko harf mera dastan Therta hai
talash rahti hai us ko nae Thikanon ki
hamare dil mein kahan mehrban Therta hai
mohabbaton ke zamane wo kya hue aaKHir
ki kar-e-KHair bhi ab imtihan Therta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.