jo soz-e-mohabbat mein jalte rahe
jo soz-e-mohabbat meñ jalte rahe
añdheroñ kī qismat badalte rahe
dil-o-jān kartā thā jin par nisār
mire naam se kyoñ vo jalte rahe
unhī ko mile manziloñ ke nishāñ
jo har gaam gir kar sañbhalte rahe
ḳhudā ne diye the jinheñ hausle
havāoñ ke ruḳh vo badalte rahe
hue manziloñ se shanāsā vo hī
mirī rahbarī meñ jo chalte rahe
rahā mujh pe ye bhī ḳhudā kā karam
mire sar se tūfān Talte rahe
maiñ manzil pe apnī pahuñch bhī gayā
jo hāsid the haath apne malte rahe
buzurgoñ ke naqsh-e-qadam jis pe the
usī rah pe 'rizvān' chalte rahe
jo soz-e-mohabbat mein jalte rahe
andheron ki qismat badalte rahe
dil-o-jaan karta tha jin par nisar
mere nam se kyon wo jalte rahe
unhi ko mile manzilon ke nishan
jo har gam gir kar sanbhalte rahe
KHuda ne diye the jinhen hausle
hawaon ke ruKH wo badalte rahe
hue manzilon se shanasa wo hi
meri rahbari mein jo chalte rahe
raha mujh pe ye bhi KHuda ka karam
mere sar se tufan Talte rahe
main manzil pe apni pahunch bhi gaya
jo hasid the hath apne malte rahe
buzurgon ke naqsh-e-qadam jis pe the
usi rah pe 'rizwan' chalte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.