jo suKHan ko mere suna kare mera aks ban ke mila kare
jo suKHan ko mere suna kare mera aks ban ke mila kare
Humaira Gul Tishna
MORE BYHumaira Gul Tishna
jo suḳhan ko mere sunā kare mirā 'aks ban ke milā kare
vahī ham-safar mirī raah meñ mirī raushnī jo ḳhudā kare
mujh chāñd se nahīñ kuchh ġharaz mujhe mahr se kyā gila ki bas
jo charāġh mujh ko pasand hai mire tāqche meñ jalā kare
maiñ daroġh-goī se tañg huuñ maiñ munāfiqoñ se barī ki ab
mujhe dost vo hī 'azīz hai ki jo baat muñh pe kahā kare
mirā lafz merā charāġh hai mirā harf māh-e-tamām hai
jo suḳhan kī bazm kā shaah ho vahī ham-kalām huā kare
jo gulāb milne meñ sahl ho mujhe us kī koī talab nahīñ
mujhe phuul aisā pasand hai ki jo mushkiloñ se milā kare
jo suKHan ko mere suna kare mera 'aks ban ke mila kare
wahi ham-safar meri rah mein meri raushni jo KHuda kare
mujh chand se nahin kuchh gharaz mujhe mahr se kya gila ki bas
jo charagh mujh ko pasand hai mere taqche mein jala kare
main darogh-goi se tang hun main munafiqon se bari ki ab
mujhe dost wo hi 'aziz hai ki jo baat munh pe kaha kare
mera lafz mera charagh hai mera harf mah-e-tamam hai
jo suKHan ki bazm ka shah ho wahi ham-kalam hua kare
jo gulab milne mein sahl ho mujhe us ki koi talab nahin
mujhe phul aisa pasand hai ki jo mushkilon se mila kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.