jo sun liya kabhi bachche se harf-e-awara
jo sun liya kabhi bachche se harf-e-awara
Syed Qamar Haider Qamar
MORE BYSyed Qamar Haider Qamar
jo sun liyā kabhī bachche se harf-e-āvāra
zabāñ pe rakh diyā maañ ne dahaktā angāra
ye soch kar kabhī duniyā se talḳh baat na kī
ki pin chubhī to kahāñ bach sakegā ġhubbāra
nahā rahe haiñ mazāmīñ meñ kāġhazoñ ke badan
ubal rahā hai qalam se suḳhan kā favvāra
vo rizq-e-barf hue jis ko muddateñ guzrīñ
abhī tak aas ke gardūñ meñ hai vo tayyāra
'qamar' ye turfa tamāsha bhī dekhte chaliye
mahal banāne chalā hai safar meñ banjāra
jo sun liya kabhi bachche se harf-e-awara
zaban pe rakh diya man ne dahakta angara
ye soch kar kabhi duniya se talKH baat na ki
ki pin chubhi to kahan bach sakega ghubbara
naha rahe hain mazamin mein kaghazon ke badan
ubal raha hai qalam se suKHan ka fawwara
wo rizq-e-barf hue jis ko muddaten guzrin
abhi tak aas ke gardun mein hai wo tayyara
'qamar' ye turfa tamasha bhi dekhte chaliye
mahal banane chala hai safar mein banjara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.