jo surat dekh li us mah-laqa ki
jo sūrat dekh lī us mah-laqā kī
nazar aa.ī mujhe qudrat ḳhudā kī
abhī qabroñ se murde uTh khaḌe hoñ
suneñ āvāz gar raftār-e-pā kī
mirā dil le ke mujh se phir gayā hai
vafā ke badle zālim ne daġhā kī
kiye jaate ho mujh se be-vafā.ī
zabāñ merī nahīñ ab tak hai shākī
hazāroñ ġhair ko dete ho bose
liyā gar ek maiñ ne kyā ḳhatā kī
kiye jaatā hai jaur-o-zulm mujh par
kuchh āḳhir intihā bhī hai jafā kī
mujhe kaafī hai terā sāya-e-zulf
nahīñ ḳhvāhish hai kuchh zill-e-humā kī
na aaya par na aaya vo sitamgar
ḳhushāmad kī bahut kuchh iltijā kī
tumhāre āb-e-‘ḳhanjar’ kā huuñ pyāsā
nahīñ hai aarzū āb-e-baqā kī
jo surat dekh li us mah-laqa ki
nazar aai mujhe qudrat KHuda ki
abhi qabron se murde uTh khaDe hon
sunen aawaz gar raftar-e-pa ki
mera dil le ke mujh se phir gaya hai
wafa ke badle zalim ne dagha ki
kiye jate ho mujh se be-wafai
zaban meri nahin ab tak hai shaki
hazaron ghair ko dete ho bose
liya gar ek main ne kya KHata ki
kiye jata hai jaur-o-zulm mujh par
kuchh aaKHir intiha bhi hai jafa ki
mujhe kafi hai tera saya-e-zulf
nahin KHwahish hai kuchh zill-e-huma ki
na aaya par na aaya wo sitamgar
KHushamad ki bahut kuchh iltija ki
tumhaare aab-e-‘KHanjar’ ka hun pyasa
nahin hai aarzu aab-e-baqa ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.