jo talluq hai chaman mein phul ka KHushbu ke sath
jo talluq hai chaman mein phul ka KHushbu ke sath
Bilal Saharanpuri
MORE BYBilal Saharanpuri
jo ta.alluq hai chaman meñ phuul kā ḳhushbū ke saath
hai vahī rishta musalmāñ kā yahāñ hindū ke saath
hai vahī nisbat hamārī sar-zamīn-e-hind se
jo hai nisbat shā.irī meñ miir kī urdu ke saath
aarzī hai husn-e-duniyā dar-haqīqat dostoñ
is liye hī amrpālī chal paḌī bhikshū ke saath
laḌ rahe the jañg donoñ muḳhtalif andāz meñ
maiñ thā haq ke saath aur vo quvvat-e-bāzū ke saath
jis tarah se chāñd chamke badliyoñ ke biich meñ
kis tarah chehra thā raushan turra-e-gesū ke saath
kal jise maiñ ne sikhā.e the alif be te 'bilāl'
baat vo kartā hai mujh se āj-kal be tū ke saath
jo talluq hai chaman mein phul ka KHushbu ke sath
hai wahi rishta musalman ka yahan hindu ke sath
hai wahi nisbat hamari sar-zamin-e-hind se
jo hai nisbat shairi mein mir ki urdu ke sath
aarzi hai husn-e-duniya dar-haqiqat doston
is liye hi amrpali chal paDi bhikshu ke sath
laD rahe the jang donon muKHtalif andaz mein
main tha haq ke sath aur wo quwwat-e-bazu ke sath
jis tarah se chand chamke badliyon ke bich mein
kis tarah chehra tha raushan turra-e-gesu ke sath
kal jise main ne sikhae the alif be te 'bilal'
baat wo karta hai mujh se aaj-kal be tu ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.