jo tera rang tha us rang se na kah paya
jo terā rañg thā us rañg se na kah paayā
maiñ dil kī baat kabhī Dhañg se na kah paayā
kisī ḳhayāl meñ tartīb koī thī hī nahīñ
so sher koī bhī āhañg se na kah paayā
briādrī ke kisī faisle ne bāñdh diyā
maiñ dil kī baat mirī mañg se na kah paayā
shahīd hone se pahle use bhī dekhnā thā
magar ye baat use jañg se na kah paayā
ajiib sī koī ḳhvāhish thī TūTne kī 'zubair'
maiñ ā.īna thā magar sañg se na kah paayā
jo tera rang tha us rang se na kah paya
main dil ki baat kabhi Dhang se na kah paya
kisi KHayal mein tartib koi thi hi nahin
so sher koi bhi aahang se na kah paya
briadri ke kisi faisle ne bandh diya
main dil ki baat meri mang se na kah paya
shahid hone se pahle use bhi dekhna tha
magar ye baat use jang se na kah paya
ajib si koi KHwahish thi TuTne ki 'zubair'
main aaina tha magar sang se na kah paya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.