jo tere naqsh-e-kaf-e-pa pe chal gae hote
jo tere naqsh-e-kaf-e-pa pe chal gae hote
Nadim Ashrafi Burhanpuri
MORE BYNadim Ashrafi Burhanpuri
jo tere naqsh-e-kaf-e-pā pe chal ga.e hote
to mehr-o-māh se aage nikal ga.e hote
tumhārā naam laboñ par jo aa gayā hotā
to girne vaale yaqīnan sañbhal ga.e hote
ham apne josh-e-junūñ ko jo zabt kar jaate
to hādsāt ke tevar badal ga.e hote
samajh sakā na koī azmat-e-vafā varna
hamāre ḳhvāb haqīqat meñ Dhal ga.e hote
hamārī tishna-labī maslahat samajh varna
hamāre vāste shīshe pighal ga.e hote
chaman ko ḳhūn-e-jigar kaun baḳhshtā 'nādim'
jo ham bhī jānib-e-sahrā nikal ga.e hote
jo tere naqsh-e-kaf-e-pa pe chal gae hote
to mehr-o-mah se aage nikal gae hote
tumhaara nam labon par jo aa gaya hota
to girne wale yaqinan sanbhal gae hote
hum apne josh-e-junun ko jo zabt kar jate
to hadsat ke tewar badal gae hote
samajh saka na koi azmat-e-wafa warna
hamare KHwab haqiqat mein Dhal gae hote
hamari tishna-labi maslahat samajh warna
hamare waste shishe pighal gae hote
chaman ko KHun-e-jigar kaun baKHshta 'nadim'
jo hum bhi jaanib-e-sahra nikal gae hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.