jo tere sath zara der tak ruka hota
jo tere saath zarā der tak rukā hotā
maiñ ik ḳhayāl se aage nahīñ gayā hotā
faqīr log rahe apne apne haal meñ mast
nahīñ to shahr kā naqsha badal chukā hotā
maiñ apne dil se muḳhātib thā tājiroñ se nahīñ
ki naap tol ke sab kuchh kahā sunā hotā
vo bādshāh-e-mohabbat meñ haar bhī jaate
to saltanat kā baḌā kaam ho gayā hotā
koī to jaag gayā hotā baaġh jalne tak
mirī sadā se kisī kā bhalā huā hotā
ham aise log to uktā ga.e the 'ishq se bhī
vo bevafā nahīñ hotā to jaane kyā hotā
bhalā huā ki judā ho gayā vo jādūgar
maiñ band āñkheñ liye saath chal rahā hotā
jo tere sath zara der tak ruka hota
main ek KHayal se aage nahin gaya hota
faqir log rahe apne apne haal mein mast
nahin to shahr ka naqsha badal chuka hota
main apne dil se muKHatib tha tajiron se nahin
ki nap tol ke sab kuchh kaha suna hota
wo baadshah-e-mohabbat mein haar bhi jate
to saltanat ka baDa kaam ho gaya hota
koi to jag gaya hota bagh jalne tak
meri sada se kisi ka bhala hua hota
hum aise log to ukta gae the 'ishq se bhi
wo bewafa nahin hota to jaane kya hota
bhala hua ki juda ho gaya wo jadugar
main band aankhen liye sath chal raha hota
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 100)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.