jo tere shahr mein aaya hua hai
jo tere shahr meñ aaya huā hai
ajab ik lahr meñ aaya huā hai
hamāre shahr par bhī rahm maulā
balā ke qahr meñ aaya huā hai
na.ī ik sub.h kā hai pesh-ḳhema
añdherā dahr meñ aaya huā hai
ye kaisā ishq-o-mastī kā hai chakkar
jo pichhle pahr meñ aaya huā hai
to jo jo māñgnā hai maañg liije
qalandar lahr meñ aaya huā hai
hamārī zindagī kā kul asāsa
tire haq-mehr meñ aaya huā hai
jo tere shahr mein aaya hua hai
ajab ek lahr mein aaya hua hai
hamare shahr par bhi rahm maula
bala ke qahr mein aaya hua hai
nai ek subh ka hai pesh-KHema
andhera dahr mein aaya hua hai
ye kaisa ishq-o-masti ka hai chakkar
jo pichhle pahr mein aaya hua hai
to jo jo mangna hai mang lije
qalandar lahr mein aaya hua hai
hamari zindagi ka kul asasa
tere haq-mehr mein aaya hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.