jo teri aankh hai pur-nam yahi mohabbat hai
jo terī aañkh hai pur-nam yahī mohabbat hai
ki tujh ko hai jo mirā ġham yahī mohabbat hai
hazāroñ miil kī duurī ke bāvajūd ai dost
jo ham meñ rabt hai paiham yahī mohabbat hai
tirī judā.ī ke mausam meñ jān-e-jāñ mujh ko
jo bhuuk pyaas hai kam kam yahī mohabbat hai
tire baġhair jo ḳhvāboñ ke shahr meñ bhī dost
mirā mizāj hai barham yahī mohabbat hai
visāl-rut ho ki furqat hamāre dil meñ sanam
jo bekalī sī hai dam dam yahī mohabbat hai
mirā yaqīn ki yaum-e-alast meñ 'kāshif'
kiyā gayā hameñ bāham yahī mohabbat hai
jo teri aankh hai pur-nam yahi mohabbat hai
ki tujh ko hai jo mera gham yahi mohabbat hai
hazaron mil ki duri ke bawajud ai dost
jo hum mein rabt hai paiham yahi mohabbat hai
teri judai ke mausam mein jaan-e-jaan mujh ko
jo bhuk pyas hai kam kam yahi mohabbat hai
tere baghair jo KHwabon ke shahr mein bhi dost
mera mizaj hai barham yahi mohabbat hai
visal-rut ho ki furqat hamare dil mein sanam
jo bekali si hai dam dam yahi mohabbat hai
mera yaqin ki yaum-e-alast mein 'kashif'
kiya gaya hamein baham yahi mohabbat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.