jo teri chah mein KHana-KHarab hota hai
jo teri chah mein KHana-KHarab hota hai
Rangeshwar Dayal Saxena Sufi
MORE BYRangeshwar Dayal Saxena Sufi
jo terī chaah meñ ḳhāna-ḳharāb hotā hai
jahān-e-ishq meñ vo kāmyāb hotā hai
vo ḳhush-nasīb hai jis par itaab hotā hai
tirī nazar meñ vahī intiḳhāb hotā hai
adā-e-farz meñ jo kāmyāb hotā hai
tire huzūr meñ vo bāzyāb hotā hai
zamīñ ne is liye sūraj ko sar chaḌhāyā hai
ki is se saarā jahāñ faizyāb hotā hai
ḳhayāl-e-ḳhidmat-e-ḳhalq-e-ḳhudā jo rakhte haiñ
karam ḳhudā kā unheñ dastiyāb hotā hai
ye dars dil ne diyā hai mujhe yaqīñ maano
kisī ke dil ko dukhānā azaab hotā hai
haqīr jis ko samajhte ho ai jahāñ vaalo
yahāñ nahīñ vo vahāñ kāmyāb hotā hai
tamīz kuchh nahīñ dair-o-haram meñ vo karte
kushāda jin pe haqīqat kā baab hotā hai
savāl tujh se kare bhī to koī kis muñh se
javāb terā har ik lā-javāb hotā hai
jo jaan kartā hai apnī nisār-e-qaum-o-vatan
ufuq pe qaum kī vo āftāb hotā hai
gunāh karne se Dartā huuñ is liye 'sūfī'
gunāhgār kā āḳhir ḳharāb hotā hai
jo teri chah mein KHana-KHarab hota hai
jahan-e-ishq mein wo kaamyab hota hai
wo KHush-nasib hai jis par itab hota hai
teri nazar mein wahi intiKHab hota hai
ada-e-farz mein jo kaamyab hota hai
tere huzur mein wo bazyab hota hai
zamin ne is liye suraj ko sar chaDhaya hai
ki is se sara jahan faizyab hota hai
KHayal-e-KHidmat-e-KHalq-e-KHuda jo rakhte hain
karam KHuda ka unhen dastiyab hota hai
ye dars dil ne diya hai mujhe yaqin mano
kisi ke dil ko dukhana azab hota hai
haqir jis ko samajhte ho ai jahan walo
yahan nahin wo wahan kaamyab hota hai
tamiz kuchh nahin dair-o-haram mein wo karte
kushada jin pe haqiqat ka bab hota hai
sawal tujh se kare bhi to koi kis munh se
jawab tera har ek la-jawab hota hai
jo jaan karta hai apni nisar-e-qaum-o-watan
ufuq pe qaum ki wo aaftab hota hai
gunah karne se Darta hun is liye 'sufi'
gunahgar ka aaKHir KHarab hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.