jo teri rah ka zarra nahin tha
jo terī raah kā zarra nahīñ thā
to maiñ ḳhud is qadar ūñchā nahīñ thā
tujhe kho kar huā huuñ jis qadar maiñ
kabhī maiñ is qadar tanhā nahīñ thā
zamāna kis liye ḳhairāt detā
kisī saa.il kā maiñ kaasa nahīñ thā
to phir ye zahr kaisā jism-o-jāñ meñ
agar zaḳhm-e-jigar gahrā nahīñ thā
tumhāre dard ne jaisā banāyā
maiñ is se peshtar aisā nahīñ thā
maiñ kaise manzileñ paatā ye 'naqqāsh'
jahāñ maiñ thā koī rasta nahīñ thā
jo teri rah ka zarra nahin tha
to main KHud is qadar uncha nahin tha
tujhe kho kar hua hun jis qadar main
kabhi main is qadar tanha nahin tha
zamana kis liye KHairaat deta
kisi sail ka main kasa nahin tha
to phir ye zahr kaisa jism-o-jaan mein
agar zaKHm-e-jigar gahra nahin tha
tumhaare dard ne jaisa banaya
main is se peshtar aisa nahin tha
main kaise manzilen pata ye 'naqqash'
jahan main tha koi rasta nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.