jo tez dauDte the bahut jald thak gae
jo tez dauḌte the bahut jald thak ga.e
ham dhīre dhīre chalte hue duur tak ga.e
utran pahan ke shaah kī ḳhush haiñ musāhibīn
sūraj se bhiik maañg ke zarre chamak ga.e
yāroñ ne zaḳhm-e-dil kā mire yuuñ kiyā ilaaj
aa.e the ḳhuun poñchhne rakh kar namak ga.e
āñkhoñ ko intizār meñ parde pe Taañk kar
chaukhaT se poster kī tarah ham chipak ga.e
vo shā.irī bhī hai ki nahīñ sochiye 'kamāl'
nām-e-ġhazal pe aap bahut kuchh to bak ga.e
jo tez dauDte the bahut jald thak gae
hum dhire dhire chalte hue dur tak gae
utran pahan ke shah ki KHush hain musahibin
suraj se bhik mang ke zarre chamak gae
yaron ne zaKHm-e-dil ka mere yun kiya ilaj
aae the KHun ponchhne rakh kar namak gae
aankhon ko intizar mein parde pe Tank kar
chaukhaT se poster ki tarah hum chipak gae
wo shairi bhi hai ki nahin sochiye 'kamal'
nam-e-ghazal pe aap bahut kuchh to bak gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.