jo tha hamara us pe bhi kis kis ka haq raha

jo tha hamara us pe bhi kis kis ka haq raha
Faisal Qadri Gunnauri
MORE BYFaisal Qadri Gunnauri
jo thā hamārā us pe bhī kis kis kā haq rahā
ham ko tamām 'umr isī kā qalaq rahā
dil bāġh-bāġh chand hī ayyām rah sakā
tark-e-ta'alluqāt se dil barsoñ shaq rahā
kyoñ aaj thiiñ janāb kī bātoñ meñ talḳhiyāñ
kyoñ aaj ruḳh janāb kā misl-e-shafaq rahā
duniyā ke saare qā'ede qānūn bhuul kar
bas 'ain shiin qaaf hamārā sabaq rahā
'faisal' usī kā chehrā nigāhoñ meñ bas gayā
jis kā ḳhayāl āñkhoñ kā merī hadaq rahā
jo tha hamara us pe bhi kis kis ka haq raha
hum ko tamam 'umr isi ka qalaq raha
dil bagh-bagh chand hi ayyam rah saka
tark-e-ta'alluqat se dil barson shaq raha
kyon aaj thin janab ki baaton mein talKHiyan
kyon aaj ruKH janab ka misl-e-shafaq raha
duniya ke sare qa'ede qanun bhul kar
bas 'ain shin qaf hamara sabaq raha
'faisal' usi ka chehra nigahon mein bas gaya
jis ka KHayal aankhon ka meri hadaq raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.