jo tha riya se pak zamana kahan gaya
jo thā riyā se paak zamāna kahāñ gayā
vo daur zindagī kā suhānā kahāñ gayā
har chain pā ke kis liye bechain hai bashar
paatā thā vo sukūñ jo Thikānā kahāñ gayā
māhaul kyoñ hai aaj gulistāñ kā mātamī
vo bulbuloñ kā shor machānā kahāñ gayā
aate the jhiil par jo parinde kahāñ ga.e
un kā jo thā vo Thor-Thikāna kahāñ gayā
jo tha riya se pak zamana kahan gaya
wo daur zindagi ka suhana kahan gaya
har chain pa ke kis liye bechain hai bashar
pata tha wo sukun jo Thikana kahan gaya
mahaul kyon hai aaj gulistan ka matami
wo bulbulon ka shor machana kahan gaya
aate the jhil par jo parinde kahan gae
un ka jo tha wo Thor-Thikana kahan gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.