jo thakawaT pe mabni nind nahin
jo thakāvaT pe mabnī niiñd nahīñ
maiñ samajhtā huuñ achchhī niiñd nahīñ
aadhī bastī ko jāgnā hogā
jitnī āñkheñ haiñ utnī niiñd nahīñ
maut se kyuuñ Darā rahe ho mujhe
ye koī merī pahlī niiñd nahīñ
āñkheñ achchhī haiñ is sitāre par
is sitāre pe achchhī niiñd nahīñ
ek din us ne kah diyā mujh se
maiñ tumhārī huuñ merī niiñd nahīñ
us ke chehre ko paḌh ke sotā huuñ
mujh se achchhī kisī kī niiñd nahīñ
ḳhvāb kitne hī dekhne haiñ abhī
aur āñkhoñ meñ rattī niiñd nahīñ
jo thakawaT pe mabni nind nahin
main samajhta hun achchhi nind nahin
aadhi basti ko jagna hoga
jitni aankhen hain utni nind nahin
maut se kyun Dara rahe ho mujhe
ye koi meri pahli nind nahin
aankhen achchhi hain is sitare par
is sitare pe achchhi nind nahin
ek din us ne kah diya mujh se
main tumhaari hun meri nind nahin
us ke chehre ko paDh ke sota hun
mujh se achchhi kisi ki nind nahin
KHwab kitne hi dekhne hain abhi
aur aankhon mein ratti nind nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.