jo the manzilon ke firaq mein sabhi raste wo miTa diye
jo the manzilon ke firaq mein sabhi raste wo miTa diye
Shahnaz Muzammil
MORE BYShahnaz Muzammil
jo the manziloñ ke firāq meñ sabhī rāste vo miTā diye
sar-e-shām hī jo bhaḌak uThe vo alaav maiñ ne bujhā diye
maiñ fareb-e-vaqt meñ qaid thī ruḳh kārvāñ na badal sakī
kaḌī dhuup meñ jo mile shajar to vahīñ pe Dere jamā diye
thā ajiib merā bhī nāḳhudā use āzmānā thā hausla
mujhe zulmatoñ ke sipurd kar ke charāġh saare baḌhā diye
na milā mujhe koī naqsh-e-pā na visāl kā hī sabab banā
mire reza reza se ḳhvāb the shab-e-nā-rasā meñ jalā diye
liye haath meñ vo kaTe shajar rahe muntazir ki mile samar
nazar aa.e un ko na bāl-o-par jo the ghoñsloñ meñ dabā diye
ye tirā karam hai mire ḳhudā vo nazar huī hai mujhe atā
saf-e-dushmanāñ meñ chhupe hue ruḳh-e-dostāñ bhī dikhā diye
kabhī sard sard sī dhuup thī kabhī thī tapish jamī barf meñ
na.e mausamoñ ke mizāj ne sabhī ruḳh fazā ke dikhā diye
mujhe vāhimoñ ne Dasā kabhī kabhī chīḳhtī rahīñ ḳhvāhisheñ
maiñ jo mubtlā-e-fareb thī sar-e-dār sapne sajā diye
jo the manzilon ke firaq mein sabhi raste wo miTa diye
sar-e-sham hi jo bhaDak uThe wo alaw main ne bujha diye
main fareb-e-waqt mein qaid thi ruKH karwan na badal saki
kaDi dhup mein jo mile shajar to wahin pe Dere jama diye
tha ajib mera bhi naKHuda use aazmana tha hausla
mujhe zulmaton ke sipurd kar ke charagh sare baDha diye
na mila mujhe koi naqsh-e-pa na visal ka hi sabab bana
mere reza reza se KHwab the shab-e-na-rasa mein jala diye
liye hath mein wo kaTe shajar rahe muntazir ki mile samar
nazar aae un ko na baal-o-par jo the ghonslon mein daba diye
ye tera karam hai mere KHuda wo nazar hui hai mujhe ata
saf-e-dushmanan mein chhupe hue ruKH-e-dostan bhi dikha diye
kabhi sard sard si dhup thi kabhi thi tapish jami barf mein
nae mausamon ke mizaj ne sabhi ruKH faza ke dikha diye
mujhe wahimon ne Dasa kabhi kabhi chiKHti rahin KHwahishen
main jo mubtla-e-fareb thi sar-e-dar sapne saja diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.