jo the uDan pe tair wahi shikar hue
jo the uḌaan pe taa.ir vahī shikār hue
ye sānehe bhī ajab the jo bār-bār hue
hamārī āñkhoñ ke halqe riyāzatoñ ke gavāh
hamī ḳharābī-e-qismat ke zimmedār hue
sabā ne jhāḌā bhī dāman to kaise phūloñ par
jo zabt-e-hāl meñ bikhre na mushk-bār hue
tamām umr usī hādse kā saath rahā
udhar makān banāyā ki sañgsār hue
hamāre jumla huqūq ab bhī beche jaate haiñ
ye aur baat ḳharīdār hoshiyār hue
jo the uDan pe tair wahi shikar hue
ye sanehe bhi ajab the jo bar-bar hue
hamari aankhon ke halqe riyazaton ke gawah
hami KHarabi-e-qismat ke zimmedar hue
saba ne jhaDa bhi daman to kaise phulon par
jo zabt-e-haal mein bikhre na mushk-bar hue
tamam umr usi hadse ka sath raha
udhar makan banaya ki sangsar hue
hamare jumla huquq ab bhi beche jate hain
ye aur baat KHaridar hoshiyar hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.