jo tere dar pe meri jaan aaya
jo tire dar pe merī jaañ aayā
mar gayā kahtā maiñ kahāñ aayā
dekheñ ab kis kā parda uTThegā
harf-e-shikva sar-e-zabāñ aayā
mat uThā is ko sau jihat se haa.e
dar pe tere ye nā-tavāñ aayā
tere hāthoñ se be-qarāri-e-dil
jī hamārā bhī ab ba-jāñ aayā
tū to ik hī taraf se yaañ se gayā
ġham hazāroñ taraf se yaañ aayā
mar hī jaanā bhalā hai mīr-'razā'
yaar ab bahr-e-imtihāñ aayā
jo tere dar pe meri jaan aaya
mar gaya kahta main kahan aaya
dekhen ab kis ka parda uTThega
harf-e-shikwa sar-e-zaban aaya
mat uTha is ko sau jihat se hae
dar pe tere ye na-tawan aaya
tere hathon se be-qarari-e-dil
ji hamara bhi ab ba-jaan aaya
tu to ek hi taraf se yan se gaya
gham hazaron taraf se yan aaya
mar hi jaana bhala hai mir-'raza'
yar ab bahr-e-imtihan aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.