jo tere dar se nikalta hai bikhar jata hai
jo tire dar se nikaltā hai bikhar jaatā hai
tum jise chhoḌ ke jaate ho vo mar jaatā hai
rāsta dekhtā rahtā hai akelā hī shajar
jo musāfir bhī guzartā hai guzar jaatā hai
phir kabhī bhī ye na kahnā ki bichhaḌnā hai tumheñ
hijr ke naam se bhī dil mirā Dar jaatā hai
kyā mohabbat ke usūloñ kā nahīñ us ko patā
kar ke va.ada vo har ik baar mukar jaatā hai
jo tere dar se nikalta hai bikhar jata hai
tum jise chhoD ke jate ho wo mar jata hai
rasta dekhta rahta hai akela hi shajar
jo musafir bhi guzarta hai guzar jata hai
phir kabhi bhi ye na kahna ki bichhaDna hai tumhein
hijr ke nam se bhi dil mera Dar jata hai
kya mohabbat ke usulon ka nahin us ko pata
kar ke wada wo har ek bar mukar jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.