jo tere gham ki girani se nikal sakta hai
jo tire ġham kī girānī se nikal saktā hai
har musībat meñ ravānī se nikal saktā hai
tū jo ye jaan hathelī pe liye phirtā hai
terā kirdār kahānī se nikal saktā hai
shahr-e-inkār kī pur-pech sī in galiyoñ se
tū faqat ijz-bayānī se nikal saktā hai
gardish-e-daur tire saath chale chaltā huuñ
kaam agar naql-e-makānī se nikal saktā hai
ai mirī qaum chalī aa mire pīchhe pīchhe
koī rasta bhī to paanī se nikal saktā hai
jo tere gham ki girani se nikal sakta hai
har musibat mein rawani se nikal sakta hai
tu jo ye jaan hatheli pe liye phirta hai
tera kirdar kahani se nikal sakta hai
shahr-e-inkar ki pur-pech si in galiyon se
tu faqat ijz-bayani se nikal sakta hai
gardish-e-daur tere sath chale chalta hun
kaam agar naql-e-makani se nikal sakta hai
ai meri qaum chali aa mere pichhe pichhe
koi rasta bhi to pani se nikal sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.