jo tere sath mein kaTi hi nahin
jo tire saath meñ kaTī hī nahīñ
vo mire yaar zindagī hī nahīñ
bujh gayā vo diyā mohabbat kā
duur tak jaise raushnī hī nahīñ
ho ga.ī sab sifārisheñ nākām
pairvī ishq meñ chalī hī nahīñ
bad-gumānī meñ kah gayā hogā
ham se baḌh kar to aadmī hī nahīñ
ranj kī saltanat meñ zinda huuñ
mo.ajiza hai ki saañs hī nahīñ
tū gayā jab se dil meñ aane kī
sun ijāzat kisī ko dī hī nahīñ
kar ga.ī kuuch tū ne kyoñ sochā
maiñ to dil se tire ga.ī hī nahīñ
jaam āñkhoñ se pī liyā us ne
mai-kade kī ḳhabar to lī hī nahīñ
itnā tanhā vo kar gayā 'raushan'
tīrgī umr kī khulī hī nahīñ
jo tere sath mein kaTi hi nahin
wo mere yar zindagi hi nahin
bujh gaya wo diya mohabbat ka
dur tak jaise raushni hi nahin
ho gai sab sifarishen nakaam
pairwi ishq mein chali hi nahin
bad-gumani mein kah gaya hoga
hum se baDh kar to aadmi hi nahin
ranj ki saltanat mein zinda hun
moajiza hai ki sans hi nahin
tu gaya jab se dil mein aane ki
sun ijazat kisi ko di hi nahin
kar gai kuch tu ne kyon socha
main to dil se tere gai hi nahin
jam aankhon se pi liya us ne
mai-kade ki KHabar to li hi nahin
itna tanha wo kar gaya 'raushan'
tirgi umr ki khuli hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.