jo teri shart pe bhaTTi se pighal kar nikle
jo tirī shart pe bhaTTī se pighal kar nikle
ham vo shā.ir haiñ jo ehsās meñ Dhal kar nikle
kitnā masrūr thā vo us ko nahīñ thā mālūm
ham kyoñ āvāz pe yuuñ hāthoñ ko mal kar nikle
ham vahī log haiñ jo sun ke sadā-e-hijrat
apne qadmoñ meñ safar apnā kuchal kar nikle
ye mire lafz mirī soch ke jauhar ye to
munjamid bahr-e-garāñ se ye ubal kar nikle
haal pūchhe na koī ham se ḳharāboñ kā jo bas
ghar se nikle to muqaddar ko badal kar nikle
aise insānoñ ko maiñ naam duuñ kyā tū hī batā
gulshan-e-dil se jo kaliyoñ ko masal kar nikle
thī kashish quvvat-e-qātil meñ bahut hī 'fahmī'
ham magar pairoñ tale us ko masal kar nikle
jo teri shart pe bhaTTi se pighal kar nikle
hum wo shair hain jo ehsas mein Dhal kar nikle
kitna masrur tha wo us ko nahin tha malum
hum kyon aawaz pe yun hathon ko mal kar nikle
hum wahi log hain jo sun ke sada-e-hijrat
apne qadmon mein safar apna kuchal kar nikle
ye mere lafz meri soch ke jauhar ye to
munjamid bahr-e-garan se ye ubal kar nikle
haal puchhe na koi hum se KHarabon ka jo bas
ghar se nikle to muqaddar ko badal kar nikle
aise insanon ko main nam dun kya tu hi bata
gulshan-e-dil se jo kaliyon ko masal kar nikle
thi kashish quwwat-e-qatil mein bahut hi 'fahmi'
hum magar pairon tale us ko masal kar nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.