jo tujhse mansub hua hai
jo tujh se mansūb huā hai
vo sab kā mahbūb huā hai
shahr meñ us par patthar barse
phir bhī kab mar.ūb huā hai
aaj sunā hai maiḳhāne meñ
hangāma to ḳhuub huā hai
farhat-afzā jo hotā thā
mausam vo martūb huā hai
kaise pūchhūñ us se āḳhir
kyuuñ mujh se mahjūb huā hai
kāġhaz par jo likhtā rahā huuñ
fikr bharā maktūb huā hai
fard-e-jurm lagī hai kaisī
jis meñ 'vafā' matlūb huā hai
jo tujh se mansub hua hai
wo sab ka mahbub hua hai
shahr mein us par patthar barse
phir bhi kab marub hua hai
aaj suna hai maiKHane mein
hangama to KHub hua hai
farhat-afza jo hota tha
mausam wo martub hua hai
kaise puchhun us se aaKHir
kyun mujh se mahjub hua hai
kaghaz par jo likhta raha hun
fikr bhara maktub hua hai
fard-e-jurm lagi hai kaisi
jis mein 'wafa' matlub hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.