jo tujhe imtihan deta hai
jo tujhe imtihān detā hai
kis ḳhushī se vo jaan detā hai
kyā diyā ham ne jaan dī jo use
ye to saarā jahān detā hai
chāhiye aap ko to le liije
jaan ik nā-tavān detā hai
tujh se bā-vaz.a hai tirā ḳhanjar
marne vāloñ pe jaan detā hai
naam suntā hai jab vo 'beḳhud' kā
gāliyāñ bad-zabān detā hai
jo tujhe imtihan deta hai
kis KHushi se wo jaan deta hai
kya diya hum ne jaan di jo use
ye to sara jahan deta hai
chahiye aap ko to le lije
jaan ek na-tawan deta hai
tujh se ba-waza hai tera KHanjar
marne walon pe jaan deta hai
nam sunta hai jab wo 'beKHud' ka
galiyan bad-zaban deta hai
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 178)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.