jo TukDon mein bikharte ja rahe ho
jo TukḌoñ meñ bikharte jā rahe ho
tabhī be-maut marte jā rahe ho
tum itnā kyoñ sañvarte jā rahe ho
mire dil meñ utarte jā rahe ho
Dubonā chāhtī hai jitnā duniyā
tum utne hī ubharte jā rahe ho
tumheñ kyā aur koī mil gayā hai
mujhe ignore karte jā rahe ho
tumheñ shāyad mohabbat ho ga.ī hai
ziyāda hī nikharte jā rahe ho
hamārī zindagī be-rang sī hai
tumhī to rang bharte jā rahe ho
chalo be-ḳhauf is raste pe 'faisal'
ye tum kyoñ Darte Darte jā rahe ho
jo TukDon mein bikharte ja rahe ho
tabhi be-maut marte ja rahe ho
tum itna kyon sanwarte ja rahe ho
mere dil mein utarte ja rahe ho
Dubona chahti hai jitna duniya
tum utne hi ubharte ja rahe ho
tumhein kya aur koi mil gaya hai
mujhe ignore karte ja rahe ho
tumhein shayad mohabbat ho gai hai
ziyaada hi nikharte ja rahe ho
hamari zindagi be-rang si hai
tumhi to rang bharte ja rahe ho
chalo be-KHauf is raste pe 'faisal'
ye tum kyon Darte Darte ja rahe ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.