jo tum pe yunhi luTai maine ab uski qimat to chahiye na
jo tum pe yunhi luTai maine ab uski qimat to chahiye na
Shahnawaz Ansari
MORE BYShahnawaz Ansari
jo tum pe yūñhī luTā.ī maiñ ne ab us kī qīmat to chāhiye nā
tumhārī nazroñ meñ hai mohabbat agar tijārat to chāhiye nā
jo mujh se milne kī ḳhvāhisheñ hoñ to ek lamha tavīl kar lo
masāfatoñ ko sameTnā hai zarā sī muddat to chāhiye nā
tumhāre lahje meñ tanz hai par suno kuchh is meñ maza nahīñ hai
tum is ko thoḌā sā talḳh kar lo zarā sī lazzat to chāhiye nā
maiñ chāhtā huuñ ki aks terā mirī nazar se bhī ho ke guzre
ye dil jo ḳhālī dhaḌak rahā hai ab is meñ hasrat to chāhiye nā
mujhe vo kuchh aise dekhtī hai ki jaise mujh ko bulā rahī ho
maiñ us kī jānib qadam baḌhā luuñ magar ijāzat to chāhiye nā
maiñ ashk saare sukhā ke apnī udāsiyāñ bhī tabāh kar luuñ
magar mujhe in tabāhiyoñ kī koī zamānat to chāhiye nā
jo tum pe yunhi luTai main ne ab us ki qimat to chahiye na
tumhaari nazron mein hai mohabbat agar tijarat to chahiye na
jo mujh se milne ki KHwahishen hon to ek lamha tawil kar lo
masafaton ko sameTna hai zara si muddat to chahiye na
tumhaare lahje mein tanz hai par suno kuchh is mein maza nahin hai
tum is ko thoDa sa talKH kar lo zara si lazzat to chahiye na
main chahta hun ki aks tera meri nazar se bhi ho ke guzre
ye dil jo KHali dhaDak raha hai ab is mein hasrat to chahiye na
mujhe wo kuchh aise dekhti hai ki jaise mujh ko bula rahi ho
main us ki jaanib qadam baDha lun magar ijazat to chahiye na
main ashk sare sukha ke apni udasiyan bhi tabah kar lun
magar mujhe in tabahiyon ki koi zamanat to chahiye na
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.