jo tumhein yaad kiya karte hain
jo tumhein yaad kiya karte hain
Sardar Genda Singh Mashriqi
MORE BYSardar Genda Singh Mashriqi
jo tumheñ yaad kiyā karte haiñ
āh-o-fariyād kiyā karte haiñ
kaam un kā hai shab-o-roz yahī
sitam ījād kiyā karte haiñ
tere mai-ḳhāne ko ai pīr-e-muġhāñ
hamīñ ābād kiyā karte haiñ
apnī vahshat se tire dīvāne
dasht ābād kiyā karte haiñ
jām-e-mai pī ke shab-e-furqat meñ
dil ko ham shaad kiyā karte haiñ
mas.ale shaiḳh ke jo sunte haiñ
umr barbād kiyā karte haiñ
'mashriqī' koī sune yā na sune
ham to fariyād kiyā karte haiñ
jo tumhein yaad kiya karte hain
aah-o-fariyaad kiya karte hain
kaam un ka hai shab-o-roz yahi
sitam ijad kiya karte hain
tere mai-KHane ko ai pir-e-mughan
hamin aabaad kiya karte hain
apni wahshat se tere diwane
dasht aabaad kiya karte hain
jam-e-mai pi ke shab-e-furqat mein
dil ko hum shad kiya karte hain
masale shaiKH ke jo sunte hain
umr barbaad kiya karte hain
'mashriqi' koi sune ya na sune
hum to fariyaad kiya karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.