jo tu zindagi mein na mil saka mujhe is ka koi gila nahin
jo tū zindagī meñ na mil sakā mujhe is kā koī gila nahīñ
hai gila nasīb meñ phir kabhī bhī vafā kā phuul khilā nahīñ
maiñ rahūñgī sang sadā tire tū jahāñ rahe mire ham-safar
mirā āshiyāñ tire dil meñ hai mirī chaah koī qila nahīñ
mirī hasrateñ mire saath hī tujhe yaad kar ke haiñ thak ga.iiñ
tirī ḳhāmushī hai sazā mujhe mire pyaar kā ye sila nahīñ
ye jo ḳhvāb hai mirī aañkh meñ tire dam se hai ye banā huā
tirā aks aañkh kī jhiil meñ ka.ī muddatoñ se hilā nahīñ
mirā pyaar tum to nasīb ho mirī zindagānī kā nuur ho
maiñ jahān bhar meñ talāsh kī mujhe tum sā koī milā nahīñ
jo tu zindagi mein na mil saka mujhe is ka koi gila nahin
hai gila nasib mein phir kabhi bhi wafa ka phul khila nahin
main rahungi sang sada tere tu jahan rahe mere ham-safar
mera aashiyan tere dil mein hai meri chah koi qila nahin
meri hasraten mere sath hi tujhe yaad kar ke hain thak gain
teri KHamushi hai saza mujhe mere pyar ka ye sila nahin
ye jo KHwab hai meri aankh mein tere dam se hai ye bana hua
tera aks aankh ki jhil mein kai muddaton se hila nahin
mera pyar tum to nasib ho meri zindagani ka nur ho
main jahan bhar mein talash ki mujhe tum sa koi mila nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.