jo ubhre waqt ke sanche mein Dhal ke
jo ubhre vaqt ke sāñche meñ Dhal ke
vo Duube ek aalam ko badal ke
ġham-e-manzil tujhe shāyad ḳhabar ho
yahāñ pahuñche haiñ kitne kos chal ke
ab un ke paas aañsū haiñ na aaheñ
jo ġham kī aag se nikle haiñ jal ke
zamīñ kī ek hī jumbish bahut hai
zamīñ se aa maleñge ye mahal ke
hamīñ ne rāstoñ kī ḳhaak chhānī
hamīñ aa.e haiñ tere paas chal ke
in āñkhoñ ne ye an-honī bhī dekhī
nasīm-e-sub.h guzrī gul masal ke
zamāna kyuuñ tujhī par mar rahā hai
bahāne jab ki lākhoñ haiñ ajal ke
tirī guftār par aalim fidā hai
tirī bātoñ meñ tevar haiñ ġhazal ke
sahar hone ko hai 'ārif' ḳhudārā
ghaḌī bhar so raho pahlū badal ke
jo ubhre waqt ke sanche mein Dhal ke
wo Dube ek aalam ko badal ke
gham-e-manzil tujhe shayad KHabar ho
yahan pahunche hain kitne kos chal ke
ab un ke pas aansu hain na aahen
jo gham ki aag se nikle hain jal ke
zamin ki ek hi jumbish bahut hai
zamin se aa malenge ye mahal ke
hamin ne raston ki KHak chhani
hamin aae hain tere pas chal ke
in aankhon ne ye an-honi bhi dekhi
nasim-e-subh guzri gul masal ke
zamana kyun tujhi par mar raha hai
bahane jab ki lakhon hain ajal ke
teri guftar par aalim fida hai
teri baaton mein tewar hain ghazal ke
sahar hone ko hai 'arif' KHudara
ghaDi bhar so raho pahlu badal ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.