jo ulfat ki bina par jhonpDi hai
jo ulfat kī binā par jhoñpḌī hai
haqīqat meñ vo mahloñ se baḌī hai
tujhe kyā tū to hai ik jaltā sūraj
mujhe to apnī āñkhoñ kī paḌī hai
hazāroñ rang se hai jalva-farmā
mohabbat zindagī hai phuljhaḌī hai
qadam-bosī ko barkhā-rut kī mālan
mire dar par liye gajre khaḌī hai
hamāre rahbaroñ kā asl chehra
'ajā.ib-ghar meñ rakkhī khopDī hai
banāyā diin ko hai jab se maz.hab
sabhī ko sirf baḳhshish kī paḌī hai
kisī ke rū-barū rahnā bhī 'ḳhālid'
nihāyat āzmā.ish kī ghaḌī hai
jo ulfat ki bina par jhonpDi hai
haqiqat mein wo mahlon se baDi hai
tujhe kya tu to hai ek jalta suraj
mujhe to apni aankhon ki paDi hai
hazaron rang se hai jalwa-farma
mohabbat zindagi hai phuljhaDi hai
qadam-bosi ko barkha-rut ki malan
mere dar par liye gajre khaDi hai
hamare rahbaron ka asl chehra
'ajaib-ghar mein rakkhi khopDi hai
banaya din ko hai jab se mazhab
sabhi ko sirf baKHshish ki paDi hai
kisi ke ru-baru rahna bhi 'KHalid'
nihayat aazmaish ki ghaDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.