jo us be-rahm par apna dil-e-KHana-KHarab aaya
jo us be-rahm par apnā dil-e-ḳhāna-ḳharāb aayā
ga.e sabr-o-tahammul hosh-o-tāqat iztirāb aayā
havā badlī ghaTā chhā.ī vo bārish kā sahāb aayā
magar ab tak na ai pīr-e-muġhāñ daur-e-sharāb aayā
sar-e-mahshar vo yār-e-sho.ala-rū jab be-naqāb aayā
to ahl-e-hashr chīḳh uTThe zamīñ par āftāb aayā
sar-e-mahfil adū se vasl kā iqrār karnā thā
tumheñ kuchh bhī hayā aa.ī tumheñ kuchh bhī hijāb aayā
shab-e-furqat kisī ne bhī na mujh nākām ko pūchhā
na tum aa.e na maut aa.ī na sabr aayā na ḳhvāb aayā
jafā-jū sañg-dil be-rahm hai va.ada-shikan hai vo
tū aayā bhī to kis par ai dil-e-ḳhāna-ḳharāb aayā
ġhazab hai yaar ne sar kaaT kar bhejā hai qāsid kā
javāb aayā hamāre naame kā to ye javāb aayā
huī tauba bhī TukḌe TukḌe misl-e-sāġhar-o-mīnā
hamāre sāmne ai shaiḳh jab daur-e-sharāb aayā
jo chhū lī zulf-e-pur-ḳham maiñ ne barham ho ga.e mujh se
hañsī kī baat thī sāhab magar tum ko itaab aayā
khulā sab haal ham par is jahāñ kī be-sabātī kā
miTā sat.h-e-samandar par ubhar kar jo habāb aayā
abhī tak hai vahī ġhaflat safedī bāloñ par aa.ī
uTho bahr-e-ḳhudā 'sābir' ki sar par āftāb aayā
jo us be-rahm par apna dil-e-KHana-KHarab aaya
gae sabr-o-tahammul hosh-o-taqat iztirab aaya
hawa badli ghaTa chhai wo barish ka sahab aaya
magar ab tak na ai pir-e-mughan daur-e-sharab aaya
sar-e-mahshar wo yar-e-shoala-ru jab be-naqab aaya
to ahl-e-hashr chiKH uTThe zamin par aaftab aaya
sar-e-mahfil adu se wasl ka iqrar karna tha
tumhein kuchh bhi haya aai tumhein kuchh bhi hijab aaya
shab-e-furqat kisi ne bhi na mujh nakaam ko puchha
na tum aae na maut aai na sabr aaya na KHwab aaya
jafa-ju sang-dil be-rahm hai wada-shikan hai wo
tu aaya bhi to kis par ai dil-e-KHana-KHarab aaya
ghazab hai yar ne sar kaT kar bheja hai qasid ka
jawab aaya hamare name ka to ye jawab aaya
hui tauba bhi TukDe TukDe misl-e-saghar-o-mina
hamare samne ai shaiKH jab daur-e-sharab aaya
jo chhu li zulf-e-pur-KHam main ne barham ho gae mujh se
hansi ki baat thi sahab magar tum ko itab aaya
khula sab haal hum par is jahan ki be-sabaati ka
miTa sath-e-samandar par ubhar kar jo habab aaya
abhi tak hai wahi ghaflat safedi baalon par aai
uTho bahr-e-KHuda 'sabir' ki sar par aaftab aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.