jo utar aai hai dil mein teri hi taswir hai
jo utar aa.ī hai dil meñ terī hī tasvīr hai
rang terā hī hai is meñ terī hī tafsīr hai
mehrbāñ hai ye kisī par aur kisī se hai ḳhafā
shoḳh hai ye manchalī hai kahne ko taqdīr hai
bārhā maiñ lauT aatā huuñ bhaTak kar apne ghar
lipTī mere paañv se ghar kī koī zanjīr hai
kyā irāda kar liyā hai mārne aur marne kā
saaf dikhtā hai tumhāre haath meñ shamshīr hai
is jahāñ ko jang kā maidāñ banā baiThe ho kyoñ
kyoñ gumāñ ye hai ki duniyā aap kī jāgīr hai
jo utar aai hai dil mein teri hi taswir hai
rang tera hi hai is mein teri hi tafsir hai
mehrban hai ye kisi par aur kisi se hai KHafa
shoKH hai ye manchali hai kahne ko taqdir hai
barha main lauT aata hun bhaTak kar apne ghar
lipTi mere panw se ghar ki koi zanjir hai
kya irada kar liya hai marne aur marne ka
saf dikhta hai tumhaare hath mein shamshir hai
is jahan ko jang ka maidan bana baiThe ho kyon
kyon guman ye hai ki duniya aap ki jagir hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.