jo utra phir na ubhra kah raha hai
jo utrā phir na ubhrā kah rahā hai
ye paanī muddatoñ se bah rahā hai
mire andar havas ke pattharoñ ko
koī dīvāna kab se sah rahā hai
takalluf ke ka.ī parde the phir bhī
mirā terā suḳhan be-tah rahā hai
kisī ke e'timād-e-jān-o-dil kā
mahal darja-ba-darja Dhah rahā hai
gharauñde par badan ke phūlnā kyā
kirā.e par tū is meñ rah rahā hai
kabhī chup to kabhī mahv-e-fuġhāñ dil
ġharaz ik gomago meñ ye rahā hai
jo utra phir na ubhra kah raha hai
ye pani muddaton se bah raha hai
mere andar hawas ke pattharon ko
koi diwana kab se sah raha hai
takalluf ke kai parde the phir bhi
mera tera suKHan be-tah raha hai
kisi ke e'timad-e-jaan-o-dil ka
mahal darja-ba-darja Dhah raha hai
gharaunde par badan ke phulna kya
kirae par tu is mein rah raha hai
kabhi chup to kabhi mahw-e-fughan dil
gharaz ek gomago mein ye raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.