jo wahm hai Dar hai pas-e-parda nahin nikla
jo vahm hai Dar hai pas-e-parda nahīñ niklā
bastī se abhī tak vo bagūlā nahīñ niklā
hinda kī tarah jism udheḌā thā havā ne
lekin mire siine se kaleja nahīñ niklā
kuchh ham tire me.aar pe puure nahīñ utre
kuchh tū bhī ki mash.hūr thā jaisā nahīñ niklā
go shahr meñ paimā.ish-e-qad aam hai lekin
ik shaḳhs bhī ham-qāmat-e-sāya nahīñ niklā
poshāk-e-rafū-kār ke kyā kahne ki 'aḳhtar'
ik taar garebān meñ apnā nahīñ niklā
jo wahm hai Dar hai pas-e-parda nahin nikla
basti se abhi tak wo bagula nahin nikla
hinda ki tarah jism udheDa tha hawa ne
lekin mere sine se kaleja nahin nikla
kuchh hum tere mear pe pure nahin utre
kuchh tu bhi ki mashhur tha jaisa nahin nikla
go shahr mein paimaish-e-qad aam hai lekin
ek shaKHs bhi ham-qamat-e-saya nahin nikla
poshak-e-rafu-kar ke kya kahne ki 'aKHtar'
ek tar gareban mein apna nahin nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.