jo wasf rakkha hai wo be-misal rakkha hai
jo vasf rakkhā hai vo be-misāl rakkhā hai
bashar meñ apnā ḳhudā ne jamāl rakkhā hai
unheñ to baḳhshī haiñ ḳhushiyāñ banāne vaale ne
hamāre vāste ranj-o-malāl rakkhā hai
har ek lamha na.ī āfateñ utartī haiñ
hamārā kitnā falak ne ḳhayāl rakkhā hai
hamārī bazm meñ aao to ġhair se bhī milo
ye mere sāmne us ne savāl rakkhā hai
ye kis ke dhoke meñ maiḳhāne aa ga.e vaa.iz
amaañ meñ ham haiñ tumheñ bhī sañbhāl rakkhā hai
kuchh apne jaib-o-garebāñ kī sudh to le 'sāqī'
banā ke tū ne ajab apnā haal rakkhā hai
jo wasf rakkha hai wo be-misal rakkha hai
bashar mein apna KHuda ne jamal rakkha hai
unhen to baKHshi hain KHushiyan banane wale ne
hamare waste ranj-o-malal rakkha hai
har ek lamha nai aafaten utarti hain
hamara kitna falak ne KHayal rakkha hai
hamari bazm mein aao to ghair se bhi milo
ye mere samne us ne sawal rakkha hai
ye kis ke dhoke mein maiKHane aa gae waiz
aman mein hum hain tumhein bhi sanbhaal rakkha hai
kuchh apne jaib-o-gareban ki sudh to le 'saqi'
bana ke tu ne ajab apna haal rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.