jo ye jism sar-ta-qadam dekhte hain
jo ye jism sar-tā-qadam dekhte haiñ
''tumheñ tum ko ham ai sanam dekhte haiñ
ye sab aap hī kī hai guft-o-shunīd
jo gosh-o-zabān-o-qalam dekhte haiñ
aur aapī kā hai sab ye jalva miyāñ
jo pesh-e-nazar dam-ba-dam dekhte haiñ
jo haiñ mahv-e-dīdār ham is qadar
ye aapī kā lutf-o-karam dekhte haiñ
piyā jab se jām-e-sharāb-e-tahūra
tabhī se to dam haiñ adam dekhte haiñ
tan-o-jān-o-dil jumla-harkāt meñ
shah-e-qul-ho-allāh ko ham dekhte haiñ
tumheñ ho 'safī' shāh-e-mardāñ kī diid
na ham besh dekheñ na kam dekhte haiñ
jo ye jism sar-ta-qadam dekhte hain
tumhen tum ko hum ai sanam dekhte hain
ye sab aap hi ki hai guft-o-shunid
jo gosh-o-zaban-o-qalam dekhte hain
aur aapi ka hai sab ye jalwa miyan
jo pesh-e-nazar dam-ba-dam dekhte hain
jo hain mahw-e-didar hum is qadar
ye aapi ka lutf-o-karam dekhte hain
piya jab se jam-e-sharab-e-tahura
tabhi se to dam hain adam dekhte hain
tan-o-jaan-o-dil jumla-harkat mein
shah-e-qul-ho-allah ko hum dekhte hain
tumhein ho 'safi' shah-e-mardan ki did
na hum besh dekhen na kam dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.