jo yun banae hain aurat namaz aur KHushbu
jo yuuñ banā.e haiñ aurat namāz aur ḳhushbū
ḳhudā ke saa.e haiñ aurat namāz aur ḳhushbū
vahāñ kī ḳhaak kisī nuur se banī hogī
jahāñ se aa.e haiñ aurat namāz aur ḳhushbū
bahut kaThin hai samānā zamīñ ke rangoñ meñ
magar samā.e haiñ aurat namāz aur ḳhushbū
huā hai asr se maġhrib ke darmiyān kā vaqt
fazā pe chhā.e haiñ aurat namāz aur ḳhushbū
har ek chiiz kisī ne banā.ī hogī magar
bane banā.e haiñ aurat namāz aur ḳhushbū
jo kā.enāt ne dekhe nahīñ the pahle kabhī
vo ḳhvāb laa.e haiñ aurat namāz aur ḳhushbū
jo yun banae hain aurat namaz aur KHushbu
KHuda ke sae hain aurat namaz aur KHushbu
wahan ki KHak kisi nur se bani hogi
jahan se aae hain aurat namaz aur KHushbu
bahut kaThin hai samana zamin ke rangon mein
magar samae hain aurat namaz aur KHushbu
hua hai asr se maghrib ke darmiyan ka waqt
faza pe chhae hain aurat namaz aur KHushbu
har ek chiz kisi ne banai hogi magar
bane banae hain aurat namaz aur KHushbu
jo kaenat ne dekhe nahin the pahle kabhi
wo KHwab lae hain aurat namaz aur KHushbu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.