jo zang-KHurda the sab tabnak ho gae hain
jo zang-ḳhurda the sab tābnāk ho ga.e haiñ
tumhārā lams milā kyā ki paak ho ga.e haiñ
zamīn-e-dil pe mire kaisā mausam utrā hai
visāl-rut ke shajar hijr-nāk ho ga.e haiñ
shahāñ ġhulām parī-zādiyāñ jahāñ-ārā
sab ik tilism ke hāthoñ halāk ho ga.e haiñ
na.ī tarah kā hameñ mā'raka hai ab darpesh
mubārazat-talabāñ pur-tapāk ho ga.e haiñ
ujaaḌ mamlikat-e-husn hī nahīñ 'sāqib'
hamāre sabz 'ilāqe bhī ḳhaak ho ga.e haiñ
jo zang-KHurda the sab tabnak ho gae hain
tumhaara lams mila kya ki pak ho gae hain
zamin-e-dil pe mere kaisa mausam utra hai
visal-rut ke shajar hijr-nak ho gae hain
shahan ghulam pari-zadiyan jahan-ara
sab ek tilism ke hathon halak ho gae hain
nai tarah ka hamein ma'raka hai ab darpesh
mubarazat-talaban pur-tapak ho gae hain
ujaD mamlikat-e-husn hi nahin 'saqib'
hamare sabz 'ilaqe bhi KHak ho gae hain
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 62)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.