jo zindagi ke nisab mein hai
jo zindagī ke nisāb meñ hai
vo baat merī kitāb meñ hai
haiñ phuul yuuñ to hazār lekin
maza faqat ik gulāb meñ hai
usī ke jalve bikhar rahe haiñ
jo ek chehra naqāb meñ hai
baras rahī hai ḳhudā kī rahmat
zamāna phir bhī azaab meñ hai
har ek chehra maiñ tak rahā huuñ
na jaane kyā mere ḳhvāb meñ hai
jo zindagi ke nisab mein hai
wo baat meri kitab mein hai
hain phul yun to hazar lekin
maza faqat ek gulab mein hai
usi ke jalwe bikhar rahe hain
jo ek chehra naqab mein hai
baras rahi hai KHuda ki rahmat
zamana phir bhi azab mein hai
har ek chehra main tak raha hun
na jaane kya mere KHwab mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.