jo zindagi ke sab se hasin moD par mila
jo zindagī ke sab se hasīñ moḌ par milā
vo shaḳhs phir na mujh ko kabhī 'umr-bhar milā
ġham kī har ik kitāb meñ thā darj merā naam
rakkhā huā maiñ har dar-o-dīvār par milā
talvār kī tarah thī havā tez raah meñ
pattā bachā na ek bhī sābit shajar milā
lākhoñ kā qatl kar ke bhī vo mutma.in na thā
āḳhir vo apne ḳhuuñ meñ mujhe tar-ba-tar milā
tū haal zindagī kā mirī jaan jā.egā
bas ek baar merī nazar se nazar milā
har ek phuul par thī tire āñsuoñ kī os
qatra mire lahū kā har ik shāḳh par milā
jo zindagi ke sab se hasin moD par mila
wo shaKHs phir na mujh ko kabhi 'umr-bhar mila
gham ki har ek kitab mein tha darj mera nam
rakkha hua main har dar-o-diwar par mila
talwar ki tarah thi hawa tez rah mein
patta bacha na ek bhi sabit shajar mila
lakhon ka qatl kar ke bhi wo mutmain na tha
aaKHir wo apne KHun mein mujhe tar-ba-tar mila
tu haal zindagi ka meri jaan jaega
bas ek bar meri nazar se nazar mila
har ek phul par thi tere aansuon ki os
qatra mere lahu ka har ek shaKH par mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.