joban se kabhi husn ko Dhalne nahin dete
joban se kabhī husn ko Dhalne nahīñ dete
ham zor koī ishq pe chalne nahīñ dete
mauzūa-e-ġham-e-ishq badalne nahīñ dete
sach hai ki hameñ dil ko sañbhalne nahīñ dete
ab chāñd sitāre bhī haiñ gum jang-o-jadal meñ
sūraj ko to pahle hī nikalne nahīñ dete
ab fisq-e-zamīñ kā hai asar arsh-e-barīñ tak
Taltī ho qayāmat bhī to Talne nahīñ dete
'safvat' ko samāvāt se hai sub.h kī ummīd
dīvāne to ik sham.a bhī jalne nahīñ dete
joban se kabhi husn ko Dhalne nahin dete
hum zor koi ishq pe chalne nahin dete
mauzua-e-gham-e-ishq badalne nahin dete
sach hai ki hamein dil ko sanbhalne nahin dete
ab chand sitare bhi hain gum jang-o-jadal mein
suraj ko to pahle hi nikalne nahin dete
ab fisq-e-zamin ka hai asar arsh-e-barin tak
Talti ho qayamat bhi to Talne nahin dete
'safwat' ko samawat se hai subh ki ummid
diwane to ek shama bhi jalne nahin dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.