joD kar rakkhi hui sab pai pai le uDi
joḌ kar rakkhī huī sab paa.ī paa.ī le uḌī
duniyā ehsāsāt kī gāḌhī kamā.ī le uḌī
mutma.in the rāz-e-dil ham meñ kahīñ mahfūz hai
us ko bhī tanhā.ī kī par āvā-jā.ī le aḌī
ek sadā aa.ī qafas ke paar bhī koī jaal hai
āshiyāñ kī or jab ham ko rihā.ī le uḌī
sach kī uryānī pahantī kyoñ qabā tahrīr kī
chhīn lī mujh se qalam phir raushnā.ī le uḌī
abr kā TukḌā mere hamrāh kitnī duur tak
chiil sī koī havā kī mauj aa.ī le uḌī
laḌkhaḌāte paañv the par the to manzil kī taraf
rāsta hī rahbaroñ kī rahnumā.ī le uḌī
ham se āvāra-mizājoñ kī koī manzil kahāñ
aap ko bhī aap kī hī pārsā.ī le uḌī
DhūñDte ho ab kahāñ 'akhilesh' vo saa.e ghane
bargadoñ kī shaḳhsiyat to bonsā.ī le uḌī
joD kar rakkhi hui sab pai pai le uDi
duniya ehsasat ki gaDhi kamai le uDi
mutmain the raaz-e-dil hum mein kahin mahfuz hai
us ko bhi tanhai ki par aawa-jai le aDi
ek sada aai qafas ke par bhi koi jal hai
aashiyan ki or jab hum ko rihai le uDi
sach ki uryani pahanti kyon qaba tahrir ki
chhin li mujh se qalam phir raushnai le uDi
abr ka TukDa mere hamrah kitni dur tak
chil si koi hawa ki mauj aai le uDi
laDkhaDate panw the par the to manzil ki taraf
rasta hi rahbaron ki rahnumai le uDi
hum se aawara-mizajon ki koi manzil kahan
aap ko bhi aap ki hi parsai le uDi
DhunDte ho ab kahan 'akhilesh' wo sae ghane
bargadon ki shaKHsiyat to bonsai le uDi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.