johd-e-safar mein saya-e-mehr-o-wafa rahe
johd-e-safar meñ sāya-e-mehr-o-vafā rahe
vo dost hī rahe na vo dard-āshnā rahe
ham bhī sharīk-e-qāfila-e-shauq the magar
ham hī rahīn-e-minnat-e-dast-e-sila rahe
ik umr kī rifāqat-e-paiham ke bāvajūd
ham un se duur aur vo ham se judā rahe
ye be-ruḳhī ye tark-e-ta.alluq ke silsile
kuchh to lihāz-e-rishta-e-ahd-e-vafā rahe
ye shahr-e-āfiyat bhī hai aur kū-e-yār bhī
ai dil ḳhayāl-e-ḳhātir-e-ahl-e-jafā rahe
vo qissa-e-junūñ vo fareb-e-shabāb-e-ḳhām
ab yaad bhī nahīñ hai magar yaad sā rahe
vo fikr-e-jān-o-tan hai ki kuchh sūjhtā nahīñ
ik marg-e-ārzū hai ki sub.h-o-masā rahe
johd-e-safar mein saya-e-mehr-o-wafa rahe
wo dost hi rahe na wo dard-ashna rahe
hum bhi sharik-e-qafila-e-shauq the magar
hum hi rahin-e-minnat-e-dast-e-sila rahe
ek umr ki rifaqat-e-paiham ke bawajud
hum un se dur aur wo hum se juda rahe
ye be-ruKHi ye tark-e-talluq ke silsile
kuchh to lihaz-e-rishta-e-ahd-e-wafa rahe
ye shahr-e-afiyat bhi hai aur ku-e-yar bhi
ai dil KHayal-e-KHatir-e-ahl-e-jafa rahe
wo qissa-e-junun wo fareb-e-shabab-e-KHam
ab yaad bhi nahin hai magar yaad sa rahe
wo fikr-e-jaan-o-tan hai ki kuchh sujhta nahin
ek marg-e-arzu hai ki subh-o-masa rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.