josh-e-junun bhi gardish-e-dauran se kam na tha
josh-e-junūñ bhī gardish-e-daurāñ se kam na thā
dil thā to dasht-e-ġham bhī gulistāñ se kam na thā
rañgīnī-e-jamāl kī sarhad na thī koī
aur hausla bhī hīta-e-imkāñ se kam na thā
kyā kyā basī thiiñ sūrateñ dāmān-e-ḳhvāb meñ
dasht-e-ḳhayāl shahr-e-nigārāñ se kam na thā
har aarzū ko apnī nihāyat kī fikr thī
bāzār-e-shauq hashr ke maidāñ se kam na thā
sach hai junūñ kī raah meñ īmāñ gayā magar
pās-e-mizāj-e-yār bhī īmāñ se kam na thā
āvārgī ko vus.at-e-sahrā bhī kam rahī
dil ko jahān-e-shauq bhī zindāñ se kam na thā
ham ko na thī junūñ meñ tamīz-e-dimāġh-o-dil
dāman kā chaak chāk-e-garebāñ se kam na thā
apne liye thā bā.is-e-ābādī-e-nazar
be-sāḳhta gurez jo paimāñ se kam na thā
dekhā na ham ne yaañ bhī shajar koī sāya-dār
ya.anī dayār-e-ishq bayābāñ se kam na thā
mujrim nahīñ the phir bhī satā.e ga.e hamīñ
qaazī ba-zom-e-ḳhvesh sulaimāñ se kam na thā
rāhoñ meñ zindagī kī luTī sab matā-e-hosh
uljhāo un kā zulf-e-pareshāñ se kam na thā
dil par raqam thī ek se ik turfa dāstāñ
koī bhī zaḳhm 'arsh' dabistāñ se kam na thā
josh-e-junun bhi gardish-e-dauran se kam na tha
dil tha to dasht-e-gham bhi gulistan se kam na tha
rangini-e-jamal ki sarhad na thi koi
aur hausla bhi hita-e-imkan se kam na tha
kya kya basi thin suraten daman-e-KHwab mein
dasht-e-KHayal shahr-e-nigaran se kam na tha
har aarzu ko apni nihayat ki fikr thi
bazar-e-shauq hashr ke maidan se kam na tha
sach hai junun ki rah mein iman gaya magar
pas-e-mizaj-e-yar bhi iman se kam na tha
aawargi ko wusat-e-sahra bhi kam rahi
dil ko jahan-e-shauq bhi zindan se kam na tha
hum ko na thi junun mein tamiz-e-dimagh-o-dil
daman ka chaak chaak-e-gareban se kam na tha
apne liye tha bais-e-abaadi-e-nazar
be-saKHta gurez jo paiman se kam na tha
dekha na hum ne yan bhi shajar koi saya-dar
yani dayar-e-ishq bayaban se kam na tha
mujrim nahin the phir bhi satae gae hamin
qazi ba-zom-e-KHwesh sulaiman se kam na tha
rahon mein zindagi ki luTi sab mata-e-hosh
uljhao un ka zulf-e-pareshan se kam na tha
dil par raqam thi ek se ek turfa dastan
koi bhi zaKHm 'arsh' dabistan se kam na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.