josh-e-wahshat mein musallam ho gaya islam-e-ishq
josh-e-vahshat meñ musallam ho gayā islām-e-ishq
kūcha-gardī se mirī puurā huā ehrām-e-ishq
mere marne se khulā hāl-e-mohabbat ḳhalq par
sañg-e-marqad ban gayā ā.īna-e-anjām-e-ishq
ye sila paayā vafā kā husn kī sarkār se
chehra-e-āshiq kī zardī hai zar-e-in.ām-e-ishq
pahle thā ruḳh kā tasavvur ab hai gesū kā ḳhayāl
vo thī sub.h-e-ishq goyā aur ye hai shām-e-ishq
āstān-e-yār par har vaqt sajde kījiye
hai yahī bas dīn-e-ishq īmān-e-ishq islām-e-ishq
huuñ asīr-e-zulf zāhir hai ḳhat-e-taqdīr se
dā.ere harfoñ ke mil kar ban ga.e haiñ dām-e-ishq
arsh-e-a.azam se bhī ūñchī ho ga.ī merī fuġhāñ
aaj tak paayā na ai 'āzād' auj-e-bām-e-ishq
josh-e-wahshat mein musallam ho gaya islam-e-ishq
kucha-gardi se meri pura hua ehram-e-ishq
mere marne se khula haal-e-mohabbat KHalq par
sang-e-marqad ban gaya aaina-e-anjam-e-ishq
ye sila paya wafa ka husn ki sarkar se
chehra-e-ashiq ki zardi hai zar-e-inam-e-ishq
pahle tha ruKH ka tasawwur ab hai gesu ka KHayal
wo thi subh-e-ishq goya aur ye hai sham-e-ishq
aastan-e-yar par har waqt sajde kijiye
hai yahi bas din-e-ishq iman-e-ishq islam-e-ishq
hun asir-e-zulf zahir hai KHat-e-taqdir se
daere harfon ke mil kar ban gae hain dam-e-ishq
arsh-e-azam se bhi unchi ho gai meri fughan
aaj tak paya na ai 'azad' auj-e-baam-e-ishq
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 131)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.