josh-e-wahshat mein nazar pahunchi na apne dil ke pas
josh-e-vahshat meñ nazar pahuñchī na apne dil ke paas
uTThe āḳhir tak bagūle aah us mahmil ke paas
haiñ jigar meñ tere nāvak kī qasam gintī ke zaḳhm
naam ko riste hue nāsūr haiñ kuchh dil ke paas
ek manzil ruuh ko tā-marg hai har ek saañs
ye musāfir duur manzil se hai aur manzil ke paas
mauj-e-ḳhūn-e-kushtagāñ hai vahshat-āmoz-e-ḳhayāl
dil laraztā hai ki ḳhanjar hai abhī qātil ke paas
mast duniyā muztarib the shaad the ahl-e-niyāz
jab bhañvar se bach ke Dūbīñ kashtiyāñ sāhil ke paas
be-niyāzī apnī sī de Daal puurā kar savāl
varna hai terā diyā sab kuchh tire saa.il ke paas
josh-e-wahshat mein nazar pahunchi na apne dil ke pas
uTThe aaKHir tak bagule aah us mahmil ke pas
hain jigar mein tere nawak ki qasam ginti ke zaKHm
nam ko riste hue nasur hain kuchh dil ke pas
ek manzil ruh ko ta-marg hai har ek sans
ye musafir dur manzil se hai aur manzil ke pas
mauj-e-KHun-e-kushtagan hai wahshat-amoz-e-KHayal
dil larazta hai ki KHanjar hai abhi qatil ke pas
mast duniya muztarib the shad the ahl-e-niyaz
jab bhanwar se bach ke Dubin kashtiyan sahil ke pas
be-niyazi apni si de Dal pura kar sawal
warna hai tera diya sab kuchh tere sail ke pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.