josh junun mein raat din sab se raha alag alag
josh junūñ meñ raat din sab se rahā alag alag
maiñ huuñ judā alag alag log judā alag alag
maiñ ne balā.eñ lene ko haath baḌhāyā jab udhar
muñh ko phirā ke yaar ne mujh se kahā alag alag
sham.a jalāne aa.e haiñ aaj vo merī qabr par
chalnā ḳhudā ke vāste bād-e-sabā alag alag
ḳhaak ho zindagī bhalā tere marīz-e-ishq kī
maiñ huuñ davā se duur duur mujh se davā alag alag
'sābir' vo kam-nasīb huuñ hijr meñ gar uThā.ūñ haath
bāb-e-qubūl se rahe merī duā alag alag
josh junun mein raat din sab se raha alag alag
main hun juda alag alag log juda alag alag
main ne balaen lene ko hath baDhaya jab udhar
munh ko phira ke yar ne mujh se kaha alag alag
shama jalane aae hain aaj wo meri qabr par
chalna KHuda ke waste baad-e-saba alag alag
KHak ho zindagi bhala tere mariz-e-ishq ki
main hun dawa se dur dur mujh se dawa alag alag
'sabir' wo kam-nasib hun hijr mein gar uThaun hath
bab-e-qubul se rahe meri dua alag alag
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.